Meer Hasan

hum na nikhat hain na gul hain jo mahakte jawen

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
ham na nik.hat haiñ na gul haiñ jo mahakte jāveñ
aag kī tarah jidhar jāveñ dahakte jāveñ
ai ḳhushā-mast ki tābūt ke aage jis ke
āb-pāshī ke badal mai ko chhiḌakte jāveñ
jo koī aave hai nazdīk hī baiThe hai tire
ham kahāñ tak tire pahlū se sarakte jāveñ
ġhair ko raah ho ghar meñ tire sub.hān-allāh
aur ham duur se dar ko tire takte jāveñ
vaqt ab vo hai ki ik ek 'hasan' ho ke ba-tañg
sabr-o-tāb o ḳhirad-o-hosh khisakte jāveñ
Top Urdushayar.com