Meer Hasan

sanam pas hai aur shab-e-mah hai

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
sanam paas hai aur shab-e-māh hai
ye shab hai ki allāh hī allāh hai
tire naaz kyūñkar uThā.ūñ na maiñ
mirī dostī par tū gumrāh hai
tujhe hosh itnā nahīñ be-ḳhabar
mire haal se kab tū āgāh hai
tirā naam lete nikaltī hai aah
mirī aah ke dil meñ kyā aah hai
kahāñ barq-e-ishq o kahāñ koh-e-sabr
bagūle ke aage par-e-kāh hai
maiñ kyūñkar kahūñ tujh ko fursat nahīñ
pe ye baat kab tere dil-ḳhvāh hai
na aane ke sau uzr haiñ merī jaañ
aur aane ko pūchho to sau raah hai
maiñ ik roz pūchhā jo us shoḳh se
ki kyuuñ kuchh tujhe bhī mirī chaah hai
to hañs kar lagā kahne kyā ḳhuub kyuuñ
to merā kahāñ kā havā-ḳhvāh hai
ye sin kar jo maiñ chup rahā to kahā
abe dil kā mālik to allāh hai
'hasan' vasl aur hijr meñ yaar ke
kabhī aah hai aur kabhī vaah hai
Top Urdushayar.com