Meer Hasan

faeda aane se aise aa ke pachhtaen hain hum

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
fā.eda aane se aise aa ke pachhtā.eñ haiñ ham
uTh ga.e jab yaañ ke guzre aah tab aa.eñ haiñ ham
aur kuchh tohfa na thā jo laate ham tere niyāz
ek do aañsū the āñkhoñ meñ so bhar laa.eñ haiñ ham
tarfa hālat hai na vo aatā hai na jaatā hai jī
aur yahāñ be-tāqatī se dil kī ghabrā.eñ haiñ ham
jis taraf jaate vahāñ lagtā nahīñ kyā kījiye
is dil-e-vahshī ke hāthoñ saḳht uktā.eñ haiñ ham
dekhiye ab kyā javāb aave vahāñ se ham-nashīñ
naama to likh kar 'hasan' kā us ko pahuñchā.eñ haiñ ham
Top Urdushayar.com