Meer Hasan

yun ghair kuchh kahen to bala ko buri lage

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
yuuñ ġhair kuchh kaheñ to balā ko burī lage
tū kuchh na kah ki ham ġhorabā ko burī lage
tañgī kare na hausla apnā kahīñ bas ab
itnī jafā na kar ki vafā ko burī lage
tujh bin ye ziist apnī hameñ yuuñ hai jis tarah
qaid-e-hayāt ahl-e-fanā ko burī lage
huuñ ḳhaak tere kūche kī ham aur apnī gard
terī galī se aah sabā ko burī lage
ham to saheñge vo bhī pa lāzim nahīñ tujhe
is naaz kī jafā jo adā ko burī lage
hai be-hayā.ī had se jo garmī zyāda ho
shoḳhī bahut to mard-o-nisā ko burī lage
chuuñ ā.īna dil apnā kudūrat se saaf rakh
gard-e-malāl ahl-e-safā ko burī lage
har dam javāb saaf muravvat se hai ba.iid
vo baat tū na kar ki hayā ko burī lage
us but kī bandagī se na āzād ho 'hasan'
ye baat bhī kahīñ na ḳhudā ko burī lage
Top Urdushayar.com