dil ko us shoḳh ke kūche meñ dhare aate haiñ
shīsha ḳhālī kiye aur ashk bhare aate haiñ
sar-kashī dil ne siyah chashm se kyā kī hai ki jo
fauj-e-ġhamza kī bañdhe us pe pare aate haiñ
dil jo tū chāhe to jā bazm meñ us kī ham to
dekh us sūrat-e-majlis ko Dare aate haiñ
kushta-e-zahr-e-ġham-e-hijr nahīñ tū to 'hasan'
laḳht-e-dil kyuuñ tire ashkoñ meñ hare aate haiñ