na rahā gul na ḳhaar hī āḳhir
ik rahā husn-e-yār hī āḳhir
ab jo chhūTe bhī ham qafas se to kyā
ho chukī vaañ bahār hī āḳhir
ātish-e-dil pe aab le dauḌā
dīda-e-ashk-bār hī āḳhir
zid se nāseh kī maiñ ne kar Daalā
jeb ko taar taar hī āḳhir
kyuuñ na huuñ tere dar pe honā hai
ek din to ġhubār hī āḳhir
kaam aayā na jaa.e sham-e-mazār
ye dil-e-dāġh-dār hī āḳhir
sham.a-rū par misāl-e-parvāna
ho ga.e ham nisār hī āḳhir
vo na aayā idhar 'hasan' afsos
rah gayā intizār hī āḳhir