bas ki chuuñ badr-zamāna ye ghaTātā hai mujhe
din-ba-din aur hī aalam nazar aatā hai mujhe
husn nairañgī-e-ālam kā ajab rañg se kuchh
ain nairañgī meñ sau rañg dikhātā hai mujhe
itnā ma.alūm to hotā hai ki jaatā huuñ kahīñ
koī hai mujh meñ ki mujh se liye jaatā hai mujhe
yaad maiñ kis kī karūñ mujh ko kahāñ hosh-o-havās
apnī hī yaad se ye ishq bhulātā hai mujhe
turfa aalam hai ki har ek se vo māya-nāz
aap rahtā hai alag aur bhiḌātā hai mujhe
chhoḌ kar mujh ko vo tanhā koī jaatā hai kahīñ
ye bhī ik chheḌ hai us ko ki kuḌhātā hai mujhe
mujh ko kyuuñ khīñche liye jaa.e hai taqsīr mirī
umr Tuk rah to sahī kaun bulātā hai mujhe
mujh meñ aur dil meñ sadā hai sabaq-e-ishq kā dars
maiñ sunātā huuñ use aur vo sunātā hai mujhe
mere nāḳhūnoñ meñ maiñ tujh se kiye chaar abrū
apnī kyā teġh se har dam tū Darātā hai mujhe
tā.ir-e-rañg-e-hinā huuñ to lagūñ tere haath
chuTkiyoñ meñ tū abas yaar uḌātā hai mujhe
tujh ko manzūr jafā mujh ko hai matlūb vafā
na ye bhātā hai tujhe aur na vo bhātā hai mujhe
jo mirī chiḌh hai usī baat kā hai tujh ko zauq
aah tū dīda-o-dānista khujātā hai mujhe
phir phir ā.īne meñ muñh dekhne lagtā hai 'hasan'
ek dam aap meñ vo shoḳh jo paatā hai mujhe