Meer Hasan

soz-e-dil ka zikr apne munh pe jab late hain hum

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
soz-e-dil kā zikr apne muñh pe jab laate haiñ ham
sham.a saañ apnī zabāñ se aap jal jaate haiñ ham
dam-ba-dam us shoḳh ke āzurda ho jaane se aah
jab nahīñ kuchh apnā bas chaltā to ghabrāte haiñ ham
baiThne ko to nahīñ aa.e haiñ yaañ ai bāġhbāñ
kyuuñ ḳhafā hotā hai itnā ham se tū jaate haiñ ham
dil se ham chhuT jaa.eñ yā dil ham se chhuT jaave kahīñ
is ke aljheḌe se ab to saḳht uktāte haiñ ham
dil ḳhudā jaane kidhar gum ho gayā ai dostāñ
DhūñDhte phirte haiñ kab se aur nahīñ paate haiñ ham
donoñ dīvāne haiñ kyā samjheñge aapas meñ abas
ham ko samjhātā hai dil aur dil ko samjhāte haiñ ham
yaad meñ us gul-badan kī āj-kal tū ai 'hasan'
baaġh meñ phir phir ke apne dil ko bahlāte haiñ ham
Top Urdushayar.com