Meer Hasan

aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi

Meer Hasan

Delhi, India

1717-1786
aahoñ se mire ghar meñ havā garm rahegī
maiñ jā.ūñgā to bhī mirī jā garm rahegī
bharte hī raheñge nafas-e-sard hazāroñ
jab tak ki tarī ān-o-adā garm rahegī
jalnā mire tab dil kā lagegā ye Thikāne
sohbat tarī jab mujh se sadā garm rahegī
choTī meñ dil-soḳhta ko gūñdh ke pyāre
mat phek qifā par ki qifā garm rahegī
bulbul na mujhe dījiyo to naale kī taklīf
varna asar is ke se sabā garm rahegī
jab tak nahiñ to duḳhtar-e-raz hī ko rakhūñgā
kuchh to ye baġhal merī bhalā garm rahegī
ushshāq ko tarġhīb-e-mohabbat hī karegā
jab tak hai 'hasan' bazm-e-vafā garm rahegī
Top Urdushayar.com