Shaziya Akbar

dil-o-nigah ke husn-o-qarar ka mausam

Shaziya Akbar

dil-o-nigāh ke husn-o-qarār kā mausam
vo terī yaad tire intizār kā mausam
jhukī hai aañkh ka.ī rat-jage sameTe hue
chhupā hai lams meñ kaisā ḳhumār kā mausam
hamāre pyaar ne umr-e-davām māñgī hai
hameñ qubūl nahīñ thā udhār kā mausam
firāq lamhoñ ko ham ne hasīñ banāyā hai
sajā ke dil meñ tire e.atibār kā mausam
milī nigāh to ik pal meñ ham pe guzrā hai
karoḌ qurbatoñ lākhoñ qarār kā mausam
hamāre pyaar kī ye bhī adā nirālī hai
ḳhizāñ kī rut meñ manāyā bahār kā mausam
Top Urdushayar.com