ishq ko pās-e-vafā aaj bhī karte dekhā
ek patthar ke liye jī se guzarte dekhā
past ġhāroñ ke añdheroñ meñ jo le jaatī haiñ
vo uḌāneñ bhī to insān ko bharte dekhā
jabhī laa.ī hai sabā mausam-e-gul kī aahaT
barg afsurda hue shāḳhoñ ko Darte dekhā
tirī dahlīz pe gardish kā guzar kyā ma.anī
tujh ko jab dekhā hai kuchh bante sañvarte dekhā
be-sadā hī sahī par sañg-e-sifat haiñ lamhe
un kī āġhosh meñ har shai ko bikharte dekhā
jo bhī biitī sar-e-farhād pe biitī 'najmī'
kisī 'parvez' ko teshe se na marte dekhā