jism rū-posh the ḳhāmosh duāoñ kī tarah
saa.e phirte rahe saḌkoñ pe vabāoñ kī tarah
shāḳh par phuul khilā merī pahuñch se bāhar
bel sharmātī hai terī hī adāoñ kī tarah
dard-o-ġham Dālte rahte haiñ mire dil pe kamand
yādeñ bhī lipTī haiñ bargad kī jatāoñ kī tarah
shaam ke vaqt fazāoñ meñ ye uḌte panchhī
gasht karte haiñ ḳhalāoñ meñ sadāoñ kī tarah
ham to miTTī kī tarah sab se mile uTh uTh kar
ham se milte haiñ magar log ḳhudāoñ kī tarah