sahmī sahmī dhuāñ dhuāñ yādeñ
nazar aatī nahīñ hai rāh-e-visāl
shab kī jebeñ bharī thiiñ tāroñ se
din bhikārī kī tarah hai kañgāl
shaah bachne lagā piyāde se
ye mire daa.eñ haath kā hai kamāl
qahqahoñ kī tarah uḌe panchhī
ḳhaak par loTte paḌe haiñ jaal
muñh chhupā.e javāb phirte haiñ
sar uThā kar khaḌe hue haiñ savāl