Mahmood Ishqi

KHushbu ki tarah shab ko machalta tha gul-badan

Mahmood Ishqi

ḳhushbū kī tarah shab ko machaltā thā gul-badan
bistar se chun rahā huuñ maiñ TuuTe hue baTan
ḳhāk-e-shifā ke naam se miTTī ko bech kar
kyā mauj kar rahe haiñ imāmān-e-fikr-o-fan
dekhūñgā maiñ bhī chakh ke zarā zahr kā mazā
tū apne saath saath mirā bhī to kar jatan
varna phir un ko chain se jiine na deñge log
shorafā ke vāste bhī hai lāzim kamīna-pan
ab jins meñ nahīñ rahī taḳhsīs rañg kī
donoñ taraf hī siiTī bajāte haiñ pairahan
lab par lachak rahī hai lipstick ḳhulūs kī
make-up ke bojh se hai pareshān husn-e-zan
lobān ke dhueñ meñ tasavvuf ke zikr par
paudoñ kī tarah hilte rahe ahl-e-anjuman
is shān-e-ehtiyāt ke qurbān jā.iye
koshish ye kar rahe haiñ ki mailā na ho kafan
Top Urdushayar.com