ghar ko kaisā bhī tum sajā rakhnā
kahīñ ġham kā bhī dāḳhila rakhnā
gar kisī ko samajhnā apnā tum
dhoka khāne kā hausla rakhnā
itnī qurbat kisī se mat rakkho
kuchh zarūrī hai fāsla rakhnā
in kī har baat mīThī hotī hai
jhūTī bātoñ kā mat gila rakhnā
zindagī ek baar miltī hai
us ko jiine kā hausla rakhnā
nā-umīdī ko kufr kahte haiñ
rab se ummīd 'āsifa' rakhnā