terī yādoñ ne taḌpāyā bahut hai
bhale hī dil ko samjhāyā bahut hai
bahut zaḳhmī kiyā hai dil ko tum ne
tumhīñ ko phir bhī apnāyā bahut hai
khile rahte haiñ zaḳhm-e-dil hamesha
ḳhizāñ ne zulm to Dhāyā bahut hai
lab-e-jānāñ jo zamzam-ātashīñ thā
havāsoñ par mire chhāyā bahut hai
luġhat meñ husn kī tārīf DhūñDhī
magar har lafz kam-māya bahut hai
dil-e-ātish kī sāzish meñ 'zamānī'
shab-e-hijrāñ ko garmāyā bahut hai