tumhāre naam kar baiThe dil-o-jāñ kī ḳhushī sāhab
hasīn-o-dil-nasīñ lagtī hai ab to zindagī sāhab
milan kī sā.atoñ meñ jāñ-fizā ḳhushbū anokhī hai
hama-dam raqs kartī hai ajab ik be-ḳhudī sāhab
tar-o-tāza huī miTTī mirī bas ek lamhe meñ
hunar ab āzmāo aur karo kūza-garī sāhab
tumhāre ek harf-e-ḳhush-numā par vaar duuñ ġhazleñ
suḳhan kī jaan ho tum aur qalam kī raushnī sāhab
sitāre giit gaate haiñ samundar raqs kartā hai
mukammal ho ga.e ham tum nahīñ koī kamī sāhab
yahī sach hai ki ham tum muḳhtalif haiñ aur logoñ se
zamāne meñ misālī hai hamārī ham-rahī sāhab
ki jab bhī haath mere bārgāh-e-rab meñ uThte haiñ
tashakkur lab pe hotā hai nigāhoñ meñ namī sāhab