Shumaila Bahzad

main kisi ki raat ka tanha charagh

Shumaila Bahzad

Karachi, Sindh, Pakistan

1987
maiñ kisī kī raat kā tanhā charāġh
itnā sunñā thā ki phir mahkā charāġh
tāq-e-jāñ kī gul huī afsurdagī
aas ne ummīd kā rakkhā charāġh
andarūn-e-zāt tak khultā huā
jism ke jañgal meñ ik ugtā charāġh
do sitāre jaḌ ke yakjā ho ga.e
āḳhir-e-shab Duub kar ubhrā charāġh
ḳhvāb meñ donoñ ne dekhī raushnī
niiñd meñ mil baañT kar DhūñDā charāġh
tīrgī ke dā.ere meñ rakh gayā
ek saaya aa ke phir jaltā charāġh
sāhiloñ kī nazar kar aa.ī havā
minnatoñ kā ek man-chāhā charāġh
lo koī tajsīm kar paayā kahāñ
mom ban kar rāt-bhar pighlā charāġh
nīm-vā āñkhoñ se mujh ko dekh kar
gul huā jaatā hai ik būḌhā charāġh
Top Urdushayar.com