Noor Mohammad Yaas

yahan alag se koi kab hisar mera hai

Noor Mohammad Yaas

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1955
yahāñ alag se koī kab hisār merā hai
mujhe sameTe hue ḳhud ġhubār merā hai
na chhīn pā.egā mujh se koī nuqūsh-e-ḳhayāl
ye phuul mere haiñ ye shāḳh-sār merā hai
chalūñ to dhuup kā bādal huuñ maiñ ḳhud apnī jagah
rukūñ to har shajar-e-sāyā-dār merā hai
paḌhūñ to naama kisī kā hai chehrā chehrā mujhe
likhūñ to ḳhāma haqīqat-nigār merā hai
jagah na de mujhe palkoñ pe kam nahīñ ye bhī
ki maujzan tirī āñkhoñ meñ pyaar merā hai
hisār bāñdh le mujh meñ kahā udāsī ne
koī na aa.e yahāñ ye hisār merā hai
na jaane kab se yahāñ muntazir thā maiñ ai 'yās'
ḳhabar jab aa.ī vahāñ intizār merā hai
Top Urdushayar.com