Noor Mohammad Yaas

har zehn riwayat ka maqtal na hua tha

Noor Mohammad Yaas

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1955
har zehn rivāyāt kā maqtal na huā thā
vo aaj huā hai jo yahāñ kal na huā thā
kyuuñ dauḌ paḌī ḳhalq us ik shaḳhs ke pīchhe
kyā shahr meñ aage koī pāgal na huā thā
the band makānoñ kī tarah log pur-asrār
ik bāb-e-suḳhan thā jo muqaffal na huā thā
dil ḳhuun kiyā tum ne to paanī hue jazbe
ye mas.ala mujh se to kabhī hal na huā thā
tārīk thā apnī hī nazar kā koī pahlū
sūraj to kabhī aañkh se ojhal na huā thā
yuuñ us kī shujā.at huī mashkūk pas-e-jañg
tanhā vo sipāhī thā jo ghā.el na huā thā
kab safha-e-hastī pe thī qaa.em koī sūrat
vo naqsh thā baaqī jo mukammal na huā thā
thī din kī khulī dhuup mire ḳhuun kī pyāsī
sar merā charāġh-e-shab-e-maqtal na huā thā
Top Urdushayar.com