jab tumheñ dekhā na thā āñkhoñ meñ kitne saa.e the
maiñ usī din se akelā huuñ ki jab tum aa.e the
aag bhaḌkī jab to maiñ ye sochtā hī rah gayā
kāġhzī kapḌe mujhe kis vahm ne pahnā.e the
jaane kis ne ham ko sūraj se kiyā thā munharif
jaane kis ne dhuup meñ vo ā.īne chamkā.e the
āsmānoñ se huā thā nūr-o-nuz.hat kā nuzūl
ābshār ūñche pahāḌoñ se utar kar aa.e the
manzaroñ meñ thī mire husn-e-nazar se āb-o-tāb
pattharoñ ke dil mire ehsās ne dhaḌkā.e the
aas ke saa.e meñ ham sahte rahe kaisā azaab
aag thī qadmoñ-tale aur sar pe bādal chhā.e the
dhuup meñ phailā diye kyuuñ tum ne yādoñ ke gulāb
kyā isī din ke liye mujh se ye ḳhat likhvā.e the