ye tā.eroñ ne jo ik dūsre ke naam liye
zarūr dasht meñ aayā hai koī daam liye
na ho mizāj meñ aisī bhī dūr-andeshī
ki sub.h se koī nikle charāġh-e-shām liye
koī ishāra na ho koī isti.āra na ho
tum us kā tazkira karnā baġhair naam liye
dayār-e-zāt meñ ehsās kī qalam-rau meñ
faqīr milte haiñ shāhoñ kā ehtishām liye
sameT le na kahīñ phir zamīñ se chādar-e-āb
chalā hai phir vo samundar kī samt jaam liye
rahīn-e-chashm thī ḳhvāboñ kī rah-guzar phir bhī
na chal sakā koī be-tohmat-e-qayām liye
yahī kahā ki haiñ rāzoñ se bā-ḳhabar kuchh log
pate batā.e na us ne zabāñ se naam liye
darūn-e-zāt koī ġhair aa nahīñ saktā
khaḌī hai dar pe anā teġh-e-be-niyām liye