rifāqatoñ kā talabgār bhī na hotā thā
magar kisī se vo be-zār bhī na hotā thā
kal us ke ḳhvāb the jo aaj apnī duniyā hai
fasānā-sāz fusūñ-kār bhī na hotā thā
subuk-ravī kī vahīñ shart bhī Thahartī thī
jahāñ se rāsta hamvār bhī na hotā thā
mire sirhāne uThātī thiiñ hashr tābīreñ
abhī maiñ ḳhvāb se bedār bhī na hotā thā
havāoñ se thā gurezāñ vo ḳhud-giraftā parind
kisī ke hāthoñ giraftār bhī na hotā thā
nihāñ hoñ aañkh se bārish meñ dauḌte shole
samāñ kuchh itnā dhuāñ-dhār bhī na hotā thā
guzar diloñ se ho sab is havā meñ the lekin
koī kisī kā taraf-dār bhī na hotā thā
mirā sukūt na ho qufl-e-bāb-e-ma.anī 'yās'
bayāñ hurūf kī dīvār bhī na hotā thā