Sultan Ghauri

wahshat-e-dast-o-gareban na tujhe hai na mujhe

Sultan Ghauri

Karnal, Haryana, India

1928
vahshat-e-dast-o-garebāñ na tujhe hai na mujhe
jur.at-e-dasht-o-bayābāñ na tujhe hai na mujhe
dil ke kahne se abas us kī tamannā kī thī
hasrat-e-rañg-e-bahārāñ na tujhe hai na mujhe
chhoḌ aa.e tirī ḳhātir qafas-e-āfiyyat
raas ab sehn-e-gulistāñ na tujhe hai na mujhe
apnī hī aag meñ jalne kī qasam khaa.ī hai
ḳhvāhish-e-sham-e-farozāñ na tujhe hai na mujhe
yaad aa.ī to faqat chāñd kā chehra dekhā
tāb-e-nūr-e-ruḳh-e-tābāñ na tujhe hai na mujhe
kuchh na kuchh us ne rah-o-rasm nibhā.ī hogī
be-sabab shikva-e-'sultāñ' na tujhe hai na mujhe
Top Urdushayar.com