ham ne maanā ki jahāñ ham the gulistāñ to na thā
magar aisā bhī vahāñ kūcha-e-vīrāñ to na thā
apnā saaya thā faqat ziist kā sāmāñ to na thā
saath chaltā thā jo saaya mire insāñ to na thā
ḳhār-o-ḳhas gul se nahīñ kam tire vīrānoñ ke
dasht meñ varna kahīñ koī gulistāñ to na thā
zarra zarra hai tirī ḳhaak kā mahbūb mujhe
us kā ehsās mujhe yaañ hai magar vaañ to na thā
mujh pe ilzām lagāte ho junūñ-ḳhezī kā
chāk-dāmāñ thā magar chāk-garebāñ to na thā
kaun samjhegā use us ko zarūrat kyā hai
kabhī mohtāj-e-bayāñ qissa-e-'sultāñ' to na thā