ġham kam haiñ zindagī meñ zarā aur pāliye
jo mas.ale nahīñ haiñ unheñ bhī uchhāliye
ik laġhzish-e-qadam bhī kabhī sar uḌā ga.ī
dastār chhoḌ dījiye ḳhud ko sañbāliye
bas haath terā haath meñ aa ne kī der thī
sab mehr-o-māh-o-arz-o-samā ham ne pā liye
raahī ye sañg-e-mīl nahīñ sañg-e-rāh haiñ
but bas ga.e haiñ ka.aba-e-dil meñ nikāliye
ab ke hameñ ishāra-e-anjum na thā koī
khīñche zamīñ ne haath to lañgar uThā liye
sarsabz dasht ḳhauf se ḳhāshāk ho gayā
haiñ mish.aleñ huzūr meñ armāñ nikāliye