Mohammad Asadullah

tujhko aawaz se samjhun ki bayan se dekhun

Mohammad Asadullah

Warud, Maharashtra, India

1958
tujh ko āvāz se samjhūñ ki bayāñ se dekhūñ
mo'atabar kyā hai batā tujh ko kahāñ se dekhūñ
āb-dīda huuñ maiñ ḳhud zaḳhm-e-jigar se apne
terī āñkhoñ meñ chhupā dard kahāñ se dekhūñ
is khulī aañkh pe khulte nahīñ asrār tire
tū chhupā hai to tujhe chashm-e-nihāñ se dekhūñ
maiñ ne chāhā thā sanam ban ke tū āñkhoñ meñ rahe
tū ne chāhā maiñ tujhe chashm-e-butāñ se dekhūñ
har taraf tiir baraste haiñ nishāna maiñ huuñ
lauT aatī hai nazar ḳhud pe jahāñ se dekhūñ
is tarah dil meñ utar jā na rahe kuchh baaqī
tū hī tū ho merī nazroñ meñ jahāñ se dekhūñ
Top Urdushayar.com