zaḳhmoñ ko mire rañg hinā de ga.ī sabā
chāhā thā kyā bahār meñ kyā de ga.ī sabā
parvāz kar rahī hai ḳhalāoñ meñ ruuh bhī
apne marīz-e-ġham ko shifā de ga.ī sabā
dasht-e-junūñ ko gard uḌī aur jam ga.ī
uryāñ thā merā jism qabā de ga.ī sabā
dil ko uḌā ke le ga.ī mānind-e-bū-e-gul
kāñToñ pe loTne kī sazā de ga.ī sabā
ye barq ye havādis-e-daurāñ fuzūl haiñ
merī fanā ko rañg-e-baqā de ga.ī sabā
TuuTā na phir bhī us ke ḳhayāloñ kā silsila
dil ke qarīb aa ke sadā de ga.ī sabā
'sailānī' us bahār meñ jaate hue hameñ
murjhā.e gul ġhamoñ kī ridā de ga.ī sabā