apne anjām se be-ḳhabar zindagī
raat din kar rahī hai safar zindagī
in dahaktī chitāoñ kī āġhosh meñ
kis tarah ho sakegī basar zindagī
aa ke jaate hue manzaroñ kī tarah
ghaTtī jaatī hai shām-o-sahar zindagī
maut terā bahut ham pe ehsān hai
tujh se pahlī na thī mo'atabar zindagī
buġhz-o-nafrat kī baḌhtī huī aag meñ
jal rahe haiñ umīdoñ ke ghar zindagī
chhoḌ kar is qafas ko kidhar jā.eñge
ho ga.ī ab to be-bāl-o-par zindagī
ham bhī 'sailānī' bhaTkā kiye umr bhar
le ga.ī jab idhar se udhar zindagī