raunaq-e-bām-o-dar nahīñ baaqī
kaise kah duuñ ki ghar nahīñ baaqī
us ko dekhā hai us kī nazroñ se
jaise apnī nazar nahīñ baaqī
rahnumāoñ ne is qadar luuTā
ab luTeroñ kā Dar nahīñ baaqī
har musāfir se rāstoñ ne kahā
zulmatoñ meñ sahar nahīñ baaqī
dil to mahrūm-e-sidq lagtā hai
aur duā meñ asar nahīñ baaqī
maiñ ne aḳhbār paḌh liyā 'āshiq'
koī taaza ḳhabar nahīñ baaqī