duur aur paas ke satā.e haiñ
ham ne hijrat ke dukh uThā.e haiñ
jaane kis paar jā ke utreñge
ḳhvāb ke jo bhī dar banā.e haiñ
apnī miTTī se duur ho kar hī
hijr ke dukh samajh meñ aa.e haiñ
un ke aane se gulsitānoñ ne
ḳhushbūoñ ke kañval khilā.e haiñ
manziloñ ko pata nahīñ ham ne
rāstoñ ke fareb khaa.e haiñ
kisī pahlū qarār aayā nahīñ
dil ne qisse bahut sunā.e haiñ
ham ko 'āshiq' ḳhabar nahīñ us kī
tiir apnoñ ne kab chalā.e haiñ