Mohammad Asadullah

pichhe paDa ghanim ka lashkar hai kya karen

Mohammad Asadullah

Warud, Maharashtra, India

1958
pīchhe paḌā ġhanīm kā lashkar hai kyā kareñ
be-mo.ajiza asā hai samundar hai kyā kareñ
haañ dast-e-ehtiyāt meñ ḳhanjar hai kyā kareñ
dushman hamārī zaat ke andar hai kyā kareñ
lāzim huā hai tīsha-e-dil kā sambhālnā
har dast-e-yār-e-ġhār meñ patthar hai kyā kareñ
us ruḳh se ab kisī tarah haTtī nahīñ nazar
vo sab se is jahān meñ haT kar hai kyā kareñ
qad-āvarī hai aur kaḌī dhuup kā hai qahr
ye ātishīñ-chīnār muqaddar hai kyā kareñ
raste nahīñ haiñ raat kī haiñ dhajjiyāñ tamām
har sū shikast-e-zāt kā manzar hai kyā kareñ
Top Urdushayar.com