nazar aayā na koī bhī idhar dekhā udhar dekhā
vahāñ pahuñche to apne aap ko bhī be-nazar dekhā
ye dhokā thā nazar kā yā farishta sabz chādar meñ
kahīñ sahrā meñ lahrātā huā us ne shajar dekhā
kahīñ pe jism aur pahchān donoñ raah meñ chhoḌe
ḳhud apne aap ko ham ne na apnā ham-safar dekhā
bane kyā āshiyāñ taaza havā na peḌ ke jhurmuT
kisī uḌte parinde ne na.e yug kā nagar dekhā
lage the aa.ine chāroñ taraf shāyad mohabbat ke
nazar ke sāmne thā bas vahī ham ne jidhar dekhā
zamīñ kī sej par saa.e kī chādar oḌh kar soyā
kisī banjāre sailānī ne raste meñ hī ghar dekhā
kabhī ham Duub jā.eñge isī meñ sochte har dam
hamāre dil ne jab dekhā habāboñ kā bhañvar dekhā