Deepak Qamar

saloni sham ke aangan mein jab do waqt milte hain

Deepak Qamar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1924
salonī shaam ke āñgan meñ jab do vaqt milte haiñ
bhaTakte ham se un sāyoñ meñ kuchh aadhe adhūre haiñ
samundar hai hamāre sāmne maġhrūr-o-ḳhud-sar sā
hameñ ik pul banā kar fāsle sab paar karne haiñ
añdheroñ se ujāloñ tak ujāloñ se añdheroñ tak
sadā gardish hī gardish hai kahāñ jaane vo pahuñche haiñ
zamīñ ke phuul sone aur chāñdī se nahīñ khilte
kisī mehnat kī ḳhushbū se sabhī āñchal mahakte haiñ
vahī haiñ saañp vishkanya ko Das kar pālne vaale
mirī nagrī ko rah rah kar vo ab bhī zahr dete haiñ
har ik ehsās kī pahchān ḳhatt-o-ḳhāl kho baiThī
vo apne aap meñ Duube hue gum-sum se rahte haiñ
Top Urdushayar.com