Deepak Qamar

aag ke phul pe shabnam ke nishan DhunDoge

Deepak Qamar

Jhelum, Punjab, Pakistan

1924
aag ke phuul pe shabnam ke nishāñ DhūñDoge
tum haqīqat ke liye vahm-o-gumāñ DhūñDoge
kaun sī aas meñ ye saarā jahāñ DhūñDoge
ek āvāra sī ḳhushbū ko kahāñ DhūñDoge
saath kuchh roz kā hai rāsta chalte logo
ham chale jā.eñge qadmoñ ke nishāñ DhūñDoge
tiir tarkash meñ agar bach bhī ga.e to kyā hai
mil na pā.egī kahīñ apnī kamāñ DhūñDoge
raat kī god meñ ḳhushiyoñ ke sitāre bhar lo
phir to sūraj ko liye aisā samāñ DhūñDoge
jab chale jā.eñge banjāre bahāreñ le kar
phuul vāloñ kī nagar bhar meñ dukāñ DhūñDoge
is sarā.e se nikal aage baḌhoge jab bhī
chāñd tāroñ se pare apnā makāñ DhūñDoge
Top Urdushayar.com