vahī be-sabab se nishāñ har taraf
vahī naqsh-e-sad-rā.egāñ har taraf
vahī be-irāda safar sāmne
vahī manziloñ kā gumāñ har taraf
vahī aag raushan huī ḳhuun meñ
vahī ḳhvāhishoñ kā dhuāñ har taraf
vahī sab ke sab Dher hote hue
vahī tez āñdhī ravāñ har taraf
vahī be-gharī har taraf ḳhema-zan
vahī Dher saare makāñ har taraf
vahī vaqt kī dhuup Dhaltī huī
vahī roz o shab kā ziyāñ har taraf
vahī shahr-dar-shahr masrūfiyat
vahī fikr-e-kār-e-jahāñ har taraf
vahī jaltī-bujhtī huī zindagī
vahī koshish-e-rā.egāñ har taraf
vahī be-zarar sī zamīñ chār-sū
vahī sañg-dil āsmāñ har taraf