Sultan Akhtar

har ek lamha hamein humse juda karti hui si

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
har ik lamha hameñ ham se judā kartī huī sī
hamāre biich dīvār-e-anā bantī huī sī
laraztī kāñptī misl-e-hayā simTī huī sī
mirī jānib baḌhī us kī sadā sahmī huī sī
vahī manzar laraztā hai nigāhoñ meñ abhī tak
darīche haath phailā.e havā rūThī huī sī
tire qadmoñ kī aahaT rahguzar-dar-rahguzar raushan
tirī aamad kī ḳhushbū jā-ba-jā bikhrī huī sī
sabhī mānūs chehre ajnabī se lag rahe haiñ
hameñ jiine nahīñ degī fazā badlī huī sī
nigāhoñ ke ufuq hairāniyoñ ke abr meñ gum
koī shai ā.īne meñ rūnumā hotī huī sī
na jaane kis tabāhī kī taraf le jā.egī ab
hamārī zindagī be-sāḳhta baḌhtī huī sī
mujhe mujh se alag karne pe āmāda hai 'aḳhtar'
mirī pahchān mujh se āshnā hotī huī sī
Top Urdushayar.com