Sultan Akhtar

zang-alud zaban tak pahunchi honTon ki miqraaz

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
zañg-ālūd zabāñ tak pahūñchī hoñToñ kī miqrāz
ḳhāmoshī kī jhiil meñ Duubī pasmāñda āvāz
kāġhaz par uljhāte rahiye shabdoñ kī zanjīr
aate aate aa jā.egā likhne kā andāz
haal kā mātam karte karte āñkheñ ḳhushk huiiñ
mustaqbil kī soch rahā hai maazī kā nabbāz
ḳhushiyoñ kī dhundlī tasvīreñ rone kī tamhīd
ashkoñ kī kaalī parchhā.īñ hañsne kā āġhāz
aao sūraj noch ke andhī āñkhoñ meñ bhar leñ
kab tak āḳhir chāTī jaa.e tārīkī kī bayāz
Top Urdushayar.com