Sultan Akhtar

tanhai ki KHalij hai yun darmiyan mein

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
tanhā.ī kī ḳhalīj hai yuuñ darmiyān meñ
har shaḳhs jaise qaid ho andhe makān meñ
us ke laboñ pe sāt-samundar kā aks thā
sadiyoñ kī pyaas jazb thī merī zabān meñ
aa.ī agar ghaTā use sūraj ne khā liyā
ab ke baras bhī aag lagī āsmān meñ
Takrā ke iḳhtilāf kī dīvār toḌ dī
ziddī thā sar-buland huā ḳhāndān meñ
yuuñ bhī dahakte dasht se kyā kam thī zindagī
be-kār dhuup kuud paḌī darmiyān meñ
behtar hai apne-āp se kuchh bolte raho
yuuñ chup rahe to zañg lagegā zabān meñ
Top Urdushayar.com