lutf pahchān kā bhī to lo ajnabī
ham se mil mil ke yuuñ na bano ajnabī
ajnabī-pan hai sheva mire shahr kā
aa.e ho jo yahāñ ban raho ajnabī
bhiiḌ hī se muḳhātab ho tum der se
ḳhud se bhī to kabhī kuchh kaho ajnabī
sah na pāoge majlis kī tanhā.iyāñ
is se behtar hai tanhā raho ajnabī
TūTnā hī habāboñ kī taqdīr hai
in marāsim ko itnā na ro ajnabī
ham shanāsā.iyoñ ke bharam meñ jiye
khul na paayā ki āḳhir haiñ do ajnabī
zindagī hai ki bastī kisī ġhair kī
tum shanāsā sahī phir bhī ho ajnabī