Sultan Akhtar

nind TuTi to samundar na jazira dekha

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
niiñd TuuTī to samundar na jazīra dekhā
raat bhī maiñ ne vahī ḳhvāb-e-shikasta dekhā
sab pareshān haiñ lamhoñ kī girāñbārī se
maiñ ne har shaḳhs ke māthe pe pasīna dekhā
us ne sahmī huī āñkhoñ pe hathelī rakh lī
jab ḳhas-e-jism se uThtā huā sho.ala dekhā
goshe goshe meñ kisī ḳhauf kī parchhā.īñ thī
ghar kī har chiiz pe aaseb kā saaya dekhā
sab kī peshānī pe hālāt kī tārīkī thī
sab ke hoñToñ pe kaḌe vaqt kā nauha dekhā
koī tahzīb bhī sā.ista-e-malbūs nahīñ
jis ko bhī dekhā sar-e-rāh barahna dekhā
hañs ke milne se tasanño kī chamak chhup na sakī
haa.e vo chehra jo maiñ ne pas-e-chehra dekhā
Top Urdushayar.com