Sultan Akhtar

ja chuka tufan lekin kapkapi hai

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
jā chukā tūfān lekin kapkapī hai
vaqt kī dīvār ab tak hil rahī hai
ham ne pahchānā bahut logoñ ko lekin
ek ik sūrat abhī tak ajnabī hai
ab kirā.e ke makāñ meñ ghuT rahā huuñ
baap daadā kī havelī bik chukī hai
roz kahte ho magar kahte nahīñ ho
vo kahānī jo abhī tak an-kahī hai
kaise guzrā paḌh ke andāza lagā lo
vaqt kī tafsīr chehre par likhī hai
andar andar maiñ bikhartā jā rahā huuñ
koī shai rah rah ke mujh meñ TūTtī hai
ghaas ug aa.ī dar-o-dīvār-e-dil par
ḳhāna-vīrānī kā manzar dīdanī hai
Top Urdushayar.com