Sultan Akhtar

tujhko pane ke liye KHak-e-tamanna ho jaun

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
tujh ko paane ke liye ḳhāk-e-tamannā ho jā.ūñ
tere qadmoñ meñ bikhar kar tirā rasta ho jā.ūñ
aur kab tak maiñ karūñ mad.h-sarā.ī apnī
mujh ko taufīq de yā-rab ki maiñ terā ho jā.ūñ
tujh ko koī bhī kabhī mere sivā dekh na paa.e
aañkh meñ bhar luuñ tujhe aur maiñ andhā ho jā.ūñ
chand lamhoñ ke liye ḳhud ko mukammal dekhūñ
be-irāda hī sahī maiñ kabhī yakjā ho jā.ūñ
fikr-e-uqbā na karūñ tujh meñ giraftār rahūñ
shā.erī tere liye maiñ sag-e-duniyā ho jā.ūñ
ye karishma bhī kisī roz to raushan ho jaa.e
tū mirī aarzū meñ terī tamannā ho jā.ūñ
maiñ ki amboh-e-azīzāñ meñ kisī kā bhī nahīñ
zindagī mujh se lipaT jā ki maiñ terā ho jā.ūñ
ye ajab shart hai taslīm-o-razā kī 'aḳhtar'
ḳhud ko pahchānñā chāhūñ to maiñ andhā ho jā.ūñ
Top Urdushayar.com