tanhā.iyoñ kī barf thī bistar pe jā-ba-jā
sho.aloñ kā raqs raat badan par na ho sakā
parchhā.iyoñ ke āriz-o-lab kaun chūmtā
lazzat-farosh jism se maiñ duur hī rahā
maiñ ne hī apne dil ke varaq par use likhā
jo hādisa kisī se raqam ho nahīñ sakā
har-samt khiñch ga.e tirī yādoñ ke sā.ebān
kal raat dard lauT gayā chīḳhtā huā
yādoñ ne iztirāb kī rekhā.eñ khīñch diiñ
varna mire sukūn kā kāġhaz safed thā
chehroñ se uḌ chuke haiñ shanāsā.iyoñ ke aks
ab dostoñ kī khoj meñ tū umr mat gañvā
dil meñ sitam kā zahr laboñ par mai-e-ḳhulūs
yārān-e-ḳhush-kalām kā ab tajraba huā
shāyad use yaqīn kī uñglī na chhū sake
ik shaḳhs apne-āp se barsoñ nahīñ milā
haa.il thī rāste meñ rivāyāt kī ḳhalīj
vo dil kī baat apnī zabāñ tak na lā sakā
maiñ chup rahā to qaid kī mī.ād baḌh ga.ī
chīḳhā to aur halqa-e-zanjīr kas gayā
paanī ke intizār meñ phir ret phāñkiye
'aḳhtar' ye din bhī dhuup kī daldal meñ dhañs gayā