ḳhāna-barbād hue be-dar-o-dīvār rahe
phir bhī ham un kī itā.at meñ giraftār rahe
Thokareñ khā ke bhī shā.ista-mizājī na ga.ī
fāqa-mastī meñ bhī ham sāhib-e-dastār rahe
apnī sūrat se hirāsāñ hai har ik shaḳhs yahāñ
kaun is shahr meñ ab ā.ina-bardār rahe
aate jaate hue mausam ko duā dete raho
kam se kam shāḳh-e-tamannā to samar-dār rahe
dastakeñ hoñgī dar-e-dil pe koī aa.egā
raat bhar ham isī ummīd meñ bedār rahe
dar-ba-dar phirte rahe ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah
zindagī ham tirī tahvīl meñ be-kār rahe
ḳhaak kyuuñ uḌne lagī rāh-e-junūñ meñ 'aḳhtar'
rasan-o-dār kā koī to talabgār rahe