maiñ laḌkhaḌāyā to mujh ko gale lagāne lage
gunāhgār bhī merī hañsī uḌāne lage
mirī qadīm rivāyat ko āzmāne lage
muḳhālifīn bhī ab kashtiyāñ jalāne lage
dil-e-harīs se ta.amīr kī havas na ga.ī
vo sat.h-e-āb pe kāġhaz kā ghar banāne lage
kisī kī rāh-e-munavvar meñ mo.ajaza ye huā
hamāre naqsh-e-kaf-e-pā bhī jagmagāne lage
na jaane kis kā hameñ intizār rahne lagā
ki tāq-e-dil pe diyā roz ham jalāne lage
hue kuchh itne mohazzab ki saañs ghuTne lagī
junūñ-pasand gale tak baTan lagāne lage
jinhoñ ne kāñToñ pe chalnā hameñ sikhāyā thā
hamārī raah meñ vo phuul ab bichhāne lage
shurūa ho gayā āñkhoñ meñ jashn-e-ḳhush-ḳhvābī
huī jo raat to har samt shāmiyāne lage