Sultan Akhtar

silsila mere safar ka kabhi TuTa hi nahin

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
silsila mere safar kā kabhī TuuTā hī nahīñ
maiñ kisī moḌ pe dam lene ko Thahrā hī nahīñ
ḳhushk hoñToñ ke tasavvur se larazne vaalo
tum ne taptā huā sahrā kabhī dekhā hī nahīñ
ab to har baat pe hañsne kī tarah hañstā huuñ
aisā lagtā hai mirā dil kabhī TuuTā hī nahīñ
maiñ vo sahrā jise paanī kī havas le Duubī
tū vo bādal jo kabhī TuuT ke barsā hī nahīñ
aisī vīrānī thī dar pe ki sabhī kaañp ga.e
aur kisī ne pas-e-dīvār to dekhā hī nahīñ
mujh se miltī hī nahīñ hai kabhī milne kī tarah
zindagī se mirā jaise koī rishta hī nahīñ
Top Urdushayar.com