ḳhvāb āñkhoñ se chune niiñd ko vīrān kiyā
is tarah us ne mujhe be-sar-o-sāmān kiyā
ḳhāk-e-vīrāñ thā faqat hū ki sadā gūñjtī thī
merī vahshat ne bayābāñ ko bayābān kiyā
maiñ ne ik shaḳhs kī shā.ista-mizājī ke liye
apnī har ḳhvāhish-e-ḳhush-rañg ko qurbān kiyā
us ne jab chaak kiyā vajd meñ pairāhan-e-jāñ
maiñ ne bhī nazr-e-junūñ apnā girebān kiyā
umr bhar zabt kī dīvār na toḌī maiñ ne
aah khīñchī na kabhī rañj kā elaan kiyā
aks-e-hairat ke sivā kuchh na thā ā.īne meñ
apnī āñkhoñ ko bahut maiñ ne pareshān kiyā
phir bhī ta.amīr-e-tamannā kī na takmīl huī
maiñ ne āñgan ko kabhī dar kabhī dālān kiyā
baañT dī logoñ meñ us ne mirī daryūza-garī
phir mujhe 'aḳhtar'-e-kam-māya se sultān kiyā