Sultan Akhtar

tilism-KHana-e-dil mein hai chaar-su raushan

Sultan Akhtar

Sasaram, Bihar, India

1940
tilism-ḳhāna-e-dil meñ hai chār-sū raushan
mirī nigāh ke zulmat-kade meñ tū raushan
bahut dinoñ pe huī hai rag-e-gulū raushan
sināñ kī nok pe ho jaa.e phir lahū raushan
tamām raat maiñ zulmāt-e-intizār meñ thā
tamām raat thā mahtāb-e-ārzū raushan
maiñ apne aap se hī jañg kartā rahtā huuñ
ki mujh pe hotā nahīñ ab mirā udū raushan
ajiib shor munavvar dil o dimāġh meñ hai
mire lahū meñ hai lekin sadā-e-hū raushan
safar safar mire qadmoñ se jagmagāyā huā
taraf taraf hai mirī ḳhāk-e-justujū raushan
bahār aa.ī to āñkhoñ meñ ḳhaak uḌne lagī
na koī phuul khilā aur na rañg o bū raushan
maiñ tīrgī ke samundar meñ Duub jaatā huuñ
vo jab bhī hotā hai ab mere rū-ba-rū raushan
ye aur baat ki 'aḳhtar' haveliyāñ na rahīñ
khañDar meñ kam to nahīñ apnī aabrū raushan
Top Urdushayar.com