biite hue lamhoñ ke jo girvīda rahe haiñ
hālāt ke hāthoñ vahī ranjīda rahe haiñ
in jalvoñ se ma.amūr hai duniyā mire dil kī
ā.īnoñ kī bastī meñ jo nādīda rahe haiñ
rindadan-e-balā-nosh kā aalam hai nirālā
saaqī kī ināyat pe bhī nam-dīda rahe haiñ
barsoñ ġham-e-hālāt kī dahlīz pe kuchh log
gul kar ke diye zehnoñ ke ḳhvābīda rahe haiñ
har daur meñ insān ne jiitī hai ye baazī
har daur meñ kuchh mas.ale pechīda rahe haiñ
insān kī sūrat meñ ka.ī rañg ke patthar
ham siine pe rakkhe hue ḳhvābīda rahe haiñ
mujrim kī safoñ meñ haiñ vo mazlūm bhī jin se
'najmī' ne jo kuchh pūchhā to sanjīda rahe haiñ